Movie: Ek villain (2014)
Singer: M Irfan
Song link: Click Here
Jise zindagi dhoondh rahi hai
Kya yeh woh makam mera hai
Yahan chain se bas rukh jauon
kyun dil yeh mujhe kehta hai
Jazbat naye se mile hein
Jane kya asar yeh hua hai
Ik aas mili phir mujhko
Jo kubool kisi ne kiya hai..
haan....
Kisi shayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukun ke pal
koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein dopahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Hmm.....
Jaise koi kinara
Deta ho sahara
Mujhe woh mila kisi mod par
Koi raat ka tara
Karta ho ujala
Vaise hi roshan kare wo shehar
Dard mere woh bhula hi gaya
Kuchh aisa asar hua
Jeena mujhe phir se woh sikha rahaa....
Hmm....
Jaise barish kar de tar
Ya marham dard par
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein dopahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Muskata yeh chehera
Deta hai jo pehra
Jane chhupata kya dil ka samandar
Auron ko tho hardam
Saya deta hai
Woh doop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai use phir kyun
Mehsus mujhe ho raha
Dil tu bata de kya hai irada tera..
Hmm....
Main parinda besabar
Tha uda jo darbadar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein dopahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar

No comments:
Post a Comment