Movie: Nagina (1986)
Singer: Mohammad Aziz
Song link: Click Here
Aajkal yaad kuch aur rehta nahin
Ek bas aapki yaad aane ke baad !
Yaad aane se pehle chale aayiye
Aur phir jayiye jaan jaane ke baad !
Apni ankhon mein mujhko basa leejiye,
Apne dil mein mera ghar bana deejiye
Kya karoon, dil kahin aur lagta nahin
Pyaar mein aapse dil lagaane ke baad !
Ishq ke maine kitne phansane sune,
Husn ke kitne kisse purane sune
Aisa lagta hai, phir iss tarah tootkar
Pyaar humne kiya ik zamane ke baad !
Aapka naam dil se nikalta nahin,
Dil-lagee mein koi zoor chalta nahin
Aapko bhool jaane ki koshish bhi ki,
Aur tadpa hoon mein bhool jaane ke baad !
गाना
आजकल याद कुछ और रहता नहीं
एक बस आपकी याद आने के बाद !
याद आने से पहले चले आइए
और फिर जाइए जान जाने के बाद !
अपनी आँखों में मुझको बसा लीजिए,
अपने दिल में मेरा घर बना दीजिए
क्या करूँ, दिल कहीं और लगता नहीं
प्यार में आपसे दिल लगाने के बाद!
इश्क़ के मैंने कितने फंसाने सुने,
हुस्न के कितने क़िस्से पुराने सुने
ऐसा लगता है, फिर इस तरह टूटकर
प्यार हमने किया इक ज़माने के बाद !
आपका नाम दिल से निकलता नहीं,
दिल-लगी में कोई ज़ोर चलता नहीं
आपको भूल जाने की कोशिश भी की,
और तड़पा हूँ मैं भूल जाने के बाद!

No comments:
Post a Comment