Movie: Bazaar (1949)
Singers: Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Song link: Click Here
Ae mohabbat unse milne ka bahana ban gaya,
Tumne dekha humne dekha, ik fasana ban gaya!
Aapki meeti nazar ke teer kaise teer hain?
Teer chalne bhi na paaye dil nishana ban gaya!
Dil ne pehli hi nazar mein, kar diya kuch faisala
Saaz cheda bhi nahin aur ik tarana ban gaya!
Nazren milne bhi na paayi, tum nazar mein aa base
Tinke dhoonde bhi nahin aur aashiyana ban gaya!
गाना
ऐ मोहब्बत उनसे मिलने का बहाना बन गया
तुमने देखा हमने देखा, इक फ़साना बन गया !
आपकी मीठी नज़र के तीर कैसे तीर हैं ?
तीर चलने भी न पाये दिल निशाना बन गया !
दिल ने पहली ही नज़र में, कर लिया कुछ फ़ैसला
साज़ छेड़ा भी नहीं और इक तराना बन गया !
नज़रें मिलने भी न पाई, तुम नज़र में आ बसे
तिनके ढूंडे भी नहीं और आशियाना बन गया !

No comments:
Post a Comment