Movie: Saath Saath (1982)
Singers: Jagjit Singh, Chitra Singh
Song link: Click Here
Ye tera ghar, ye mera ghar, kisi ko dekhna ho gar
To pehle aake maang le meri nazar, teri nazar!
Ye tera ghar, ye mera ghar, ye ghar bahut haseen hai!
Na badalon ki chanv mein, na chandani ke gaanv mein
Na phool-jaise raste, bane hain iske vaaste
Magar ye ghar ajeeb hai, zameen ke kareeb hai
Ye eet-patharon ka ghar, hamaari hasraton ka ghar!
Jo chandani nahin to kya ki roshni hai pyaar ki
Dilon ke phool khil gaye to fikr kya bahar ki
Hamaare ghar na aayegi kabhi khushi udhar ki
Hamaari raahaton ka ghar, hamaari chahaton ka ghar!
Yahan mehek wafaoon ki, mohabbaton ka rang hai
Ye ghar tumhara khwab hai, ye ghar meri umang hai
Na aarzoo pe kaid hai, na hausale pe jang hai
Hamaari hausalon ka ghar, hamaari himmaton ka ghar!
गाना
ये तेरा घर, ये मेरा घर, किसी को देखना हो गर
तो पहले आके माँग ले मेरी नज़र, तेरी नज़र !
ये तेरा घर, ये मेरा घर, ये घर बहुत हसीन है !
न बादलों की छाँव में, न चाँदनी के गाँव में,
न फूल-जैसे रस्ते, बने हैं इसके वास्ते
मगर ये घर अजीब है, ज़मीन के क़रीब है
ये ईट-पत्थरों का घर, हमारी हसरतों का घर !
जो चाँदनी नहीं तो क्या कि रोशनी है प्यार की
दिलों के फूल खिल गए तो फ़िक्र क्या बहार की
हमारे घर न आएगी कभी खुशी उधार की
हमारी राहतों का घर, हमारी चाहतों का घर !
यहाँ महक वफ़ाओं की, मुहब्बतों का रंग है
ये घर तुम्हारा ख्वाब है, ये घर मेरी उमंग है
न आरज़ू पे कैद है, न हौसले पे जंग है
हमारी हौसलों का घर, हमारी हिम्मतों का घर !


