Movie: Aap Ki Parchayiyan (1964)
Singer: Lata Mangeshkar
Song link: Click Here
Agar mujhse mohabbat hai, mujhe sab apne gham de do!
In aankhon ka harik aansu mujhe meri kasam de do!
Tumhare gham ko apna gham bana loon to karaar aaye,
Tumhara dard seene mein chupa loon to karaar aaye
Wo har shai jo thumen dukh de, mujhe mere mere sanam de do!
Shareeke-zindagi ko kyun shareeke-gham nahin karte,
Dukhon ko bantkar kyun in dukhon ko kam nahin karte,
Tadap iss dil ki thodi-si mujhe mere sanam de do!
In aankhon mein na ab mujhko kabhi aansu nazar aayen,
Sada hansti rahen aankhen, sada ye hont muskaayen
Mujhe apni sabhi aahen, sabhi dardo-alam de do!
गाना
अगर मुझसे मुहब्बत है, मुझे सब अपने ग़म दे दो !
इन आँखों का हरइक आँसू मुझे मेरी क़सम दे दो !
तुम्हारे ग़म को अपना ग़म बना लूँ तो क़रार आए ,
तुम्हारा दर्द सीने में छुपा लूँ तो क़रार आए
वो हर शै, जो तुम्हें दुख दे, मुझे मेरे सनम दे दो !
शरीके-ज़िंदगी को क्यों शरीके-ग़म नहीं करते,
दुखों को बाँटकर क्यों इन दुखों को कम नहीं करते,
तड़प इस दिल की थोड़ी-सी मुझे मेरे सनम दे दो !
इन आँखों में न अब मुझको कभी आँसू नज़र आएँ,
सदा हँसती रहें आँखें, सदा ये होंठ मुस्काएँ
मुझे अपनी सभी आहें, सभी दर्दो-अलम दे दो !
No comments:
Post a Comment