Movie: Umrao Jaan (1981)
Singer: Talat Aziz
Song link: Click Here
Zindagi jab bhi teri, bazm mein laati hai hamen !
Ye zamin chand se behtar nazar aati hai hamen !
Surkh phoolon se mehek utati hain dil ki raahen,
Din dhale yoon teri aawaz bulaati hai hamen,
Ye zami chand se behtar nazar aati hai hamen !
Yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se,
Raat ke pichle pehar roz jagaati hai hamen,
Ye zami chand se behtar nazar aati hai hamen !
Har mulakaat ka anjaam judayi kyun hai,
Ab to har waqt yahi baat sataati hai hamen,
Ye zami chand se behtar nazar aati hai hamen !
गाना
ज़िन्दगी जब भी तेरी, बज़्म में लाती है हमें !
ये ज़मी चाँद से बेहतर नज़र आती है हमें !
सुर्ख फूलों से महक उठती हैं दिल की राहें,
दिन ढले यूँ तेरी आवाज़ बुलाती है हमें,
ये ज़मी चाँद से बेहतर नज़र आती है हमें !
याद तेरी कभी दस्तक कभी सरगोशी से,
रात के पिछले पहर रोज़ जगाती है हमें,
ये ज़मी चाँद से बेहतर नज़र आती है हमें !
हर मुलाक़ात का अंजाम जुदाई क्यों है,
अब तो हर वक़्त यही बात सताती है हमें,
ये ज़मी चाँद से बेहतर नज़र आती है हमें !
No comments:
Post a Comment