Movie: Lekin (1990)
Singer: Suresh Wadkar
Song link: Click Here
Surmayee shaam iss tarah aaye ! sans lete hain, jis tarah saaye !
Koi aahat nahin badan ki kahin,
Phir bhi lagta hai tu yahin hai kahin,
Waqt jaata sunaayi deta hai,
Tera saaya dikhayi deta hai,
Jaise khushboo nazar se chu jaaye ! sans lete hain, jis tarah saaye !
Din ka jo bhi peher guzarta hai,
Koi ehsaan-sa utarta hai
Waqt ke paanv dekhta hoon main,
Roz ye chaanv dekhta hoon main,
Aaye jaise koi khayal aaye ! sans lete hain, jis tarah saaye !
गाना
सुरमई शाम इस तरह आए ! साँस लेते हैं, जिस तरह साए !
कोई आहट नहीं बदन की कहीं,
फिर भी लगता है तू यहीं है कहीं,
वक़्त जाता सुनाई देता है,
तेरा साया दिखाई देता है,
जैसे खुशबू नज़र से छू जाए ! साँस लेते हैं, जिस तरह साए !
दिन का जो भी पहर गुज़रता है,
कोई एहसान-सा उतरता है
वक़्त के पाँव देखता हूँ मैं,
रोज़, जैसे कोई खयाल आए ! साँस लेते हैं, जिस तरह साए !

No comments:
Post a Comment