Movie: Ahista Ahista (1981)
Singer: Asha Bhosle
Song link: Click Here
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta,
Kahin zamin to kahin aasmaan nahin milta ||
Jise bhi dekhiye wo apne aapmein gum hai,
Zuban mili hai, magar humzuban nahin milta ||
Bujha saka hai bhala kaun waqt ke shole,
Ye aisi aag hai, jismein dhuaan nahin milta ||
Tere jahaan mein aisa nahin ki pyaar na ho,
Jahan umeed ho iski wahan nahin milta ||
गाना
कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता,
कहीं ज़मीं तो कहीं आसमाँ नहीं मिलता।
जिसे भी देखिए वो अपने आपमें गुम है,
ज़ुबाँ मिली है, मगर हुमज़ुबाँ नहीं मिलता।
बुझा सका है भला कौन वक़्त के शोले,
ये ऐसी आग है, जिसमें धुआँ नहीं मिलता।
तेरे जहान में ऐसा नहीं कि प्यार न हो,
जहाँ उम्मीद हो इसकी वहाँ नहीं मिलता।

No comments:
Post a Comment