Movie: Naseeb (1981)
Singer: Lata Mangeshkar
Song link: Click Here
Mere naseeb mein tu hai ke nahin, tere naseeb mein main hoon ke nahin
Ye hum kya jaane, ye woh hi jaane, jisne likha hai sabka naseeb !
Ek din khwab mein vo mujhe mil gaya,
Dekhkar jo mujhe phool-sa khil gaya
Sharma gayi main haye-haye, ghabara gayi haye-haye-haye
Sharma gayi main, ghabara gayi main, kehne laga vo aakar kareeb
Mere naseeb mein tu hai ke nahin, tere naseeb mein main hoon ke
nahin !
Baat ye khwab ki sach magar ho gayi,
Naujavan main tujhe dekhkar kho gayi
Aankhein mili hein haye-haye, dil bhi mile haye-haye-haye
Aankhein mili hein, dil bhi mile hein, dekhon milein kab apne naseeb
Mere naseeb mein tu hai ke nahin, tere naseeb mein main hoon ke
nahin !
Hum kahin phir milein ik hasin raat mein,
Baat ye aa gayi phir kisi baat mein
Abke hua ye haye-haye, maine kaha haye-haye-haye
Abke hua ye, maine kaha ye, mujhko bata de mere habeeb
Mere naseeb mein tu hai ke nahin, tere naseeb mein main hoon ke
nahin !
गाना
मेरे नसीब में तू है के नहीं, तेरे नसीब में मैं हूँ के नहीं
ये हम क्या जाने, ये वो ही जाने, जिसने लिखा है सबका नसीब !
एक दिन ख्वाब में वो मुझे मिल गया,
देखकर जो मुझे फूल-सा खिल गया
शर्मा गयी मैं हाय-हाय, घबरा गयी हाय-हाय-हाय
शर्मा गयी मैं, घबरा गयी मैं, कहने लगा वो आकर करीब
मेरे नसीब में तू है के नहीं, तेरे नसीब में मैं हूँ के नहीं !
बात ये ख्वाब की सच मगर हो गई,
नौजवाँ मैं तुझे देखकर खो गई
आँखें मिली हैं हाय-हाय, दिल भी मिले हाय-हाय-हाय
आँखें मिली हैं, दिल भी मिले हैं, देखों मिलें कब अपने नसीब
मेरे नसीब में तू है के नहीं, तेरे नसीब में मैं हूँ के नहीं !
हम कहीं फिर मिलें इक हसीं रात में,
बात ये आ गई फिर किसी बात में
अबके हुआ ये हाय-हाय, मैंने कहा हाय-हाय-हाय
अबके हुआ ये, मैंने कहा ये, मुझको बता दे मेरे हबीब
मेरे नसीब में तू है के नहीं, तेरे नसीब में मैं हूँ के नहीं !