Thursday, March 27, 2025

Dil Ka Aalam (दिल का आलम)

Movie: Aashiqui (1990)

Singer: Kumar Sanu

Song link: Click Here


Dil ka aalam main kya bataoon tujhe,

Ek chehre ne bahut pyar se dekha mujhe!


Wo mere saamne baiti hai magar,

Uss se kuch baat na ho paayi hai,

Main ishara bhi agar karta hoon,

Iss mein hum donon ki ruswaayi hai,

Dil ka aalam!


Wo to hoton se kuch bhi kehti nahin,

Uski aankhon mein ik kahani hai,

Uss kahani ka naam hai mera,

Mujh pe kudrat ki mehrabani hai,

Dil ka aalam!


गाना 


दिल का आलम मैं क्या बताऊँ तुझे,

एक चहरे ने बहुत प्यार से देखा मुझे !


वो मेरे सामने बैठी है मगर,

उससे कुछ बात ना हो पाई है,

मैं इशारा भी अगर करता हूँ,

इसमें हम दोनों की रुसवाई है,

दिल का आलम !


वो तो होठों से कुछ भी कहती नहीं,

उसकी आँखों में इक कहानी है,

उस कहानी का नाम है मेरा,

मुझ पे कुदरत की मेहरबानी है,

दिल का आलम !

        

No comments:

Post a Comment