Movie: Main Tulsi Tere Aangan Ki (1978)
Singer: Mohammed Rafi
Song link: Click Here
Meri dushman hai ye, meri uljhan hai ye,
Bada tadpati hai, dil tarasati hai,
Ye khidaki, jo band rahati hai!
Lagta hai mela na jaane kahan, aashik jama hote hain yahan,
Are sabko patha hai ye dastan ,iss ghar mein hai ek ladki jawan,
Aankhen jhukake guzro iss gali se, aane-jaanewaalon se kehti hai,
Ye khidaki, jo band rahati hai!
Gham ki ghata hai ye chat jayegi, aahon se deewar phat jayegi
Jab samane se ye hat jayegi, ghunghat mein gori simat jayegi
Ik roj khul jayegi toot ke ye kitni, nazaron ke teer sehati hai,
Ye khidaki, jo band rahati hai!
Aaye kabhi choubaare mein wo, kuch soche mere baare mein wo,
Are baaten kare do ishare mein wo, chup-si khadi hai uss kinare mein wo,
Uss paar wo hai aur iss paar mein hoon, nadiya beech mein behti hai,
Ye khidaki jo band rahati hai!
गाना
मेरी दुश्मन है ये, मेरी उलझन है ये,
बड़ा तड़पती है, दिल तरसाती है,
ये खिड़की, जो बंद रहती है !
लगता है मेला न जाने कहाँ, आशिक जमा होते हैं यहाँ,
अरे सबको पता है ये दास्ताँ, इस घर में है एक लड़की जवाँ,
आँखें झुकाके गुजरो इस गली तो, आने-जानेवालों से कहती है,
ये खिड़की जो बंद रहती है !
ग़म की घटा ये छट जाएगी,आहों से दीवार फट जाएगी,
जब सामने से हट जाएगी, घूँघट में गोरी सिमट जाएगी,
इक रोज़ खुल जाएगी टूट के ये, कितनी नज़रों के तीर सहती है,
ये खिड़की, जो बंद रहती है !
आए कभी चौबारे में वो, कुछ सोचे मेरे बारे में वो,
अरे बातें करे दो इशारे में वो, चुप-सी खड़ी है उस किनारे में वो,
उस पार वो है और इस पार मैं हूँ, नदिया बीच में बहती है,
ये खिड़की जो बंद रहती है !

No comments:
Post a Comment