Thursday, May 30, 2024

Mere Mehaboob Shayad Aaj Kuch (मेरे मेहबूब शायद आज कुछ)

Movie: Kitne Paas Kitne Door (1976)

Singer: Chandrani Mukherjee

Song link: Click Here

Mere mehaboob shayad aaj kuch naraaz hain mujhse!

Main kitne paas hoon, phir bhi wo kitne door hain mujhse!


Wo mehfil mein to aaye hain, magar chupchap baite hain,

Jo aashik the, mere kal tak, na karte baat ab mujhse!


Mujhe darr hai, ye unki berukhi kahin jaan naa le le,

Karoon kya, gham judayi ka saha jaata nahin mujhse!


Kabhi mehasoos hota hai, khushi ke din bhi aayenge,

Haweli jagmagaayegi mere dilbar ke aane se!


गाना 


मेरे मेहबूब शायद आज कुछ नाराज़ हैं मुझसे !

मैं कितने पास हूँ, फिर भी वो कितने दूर हैं मुझसे !


वो महफ़िल में तो आए हैं, मगर चुपचाप बैठे हैं,

जो आशिक थे, मेरे कल तक, न करते बात अब मुझसे !


मुझे डर है, ये उनकी बेरुख़ी कहीं जान ना ले ले,

करूँ क्या, ग़म जुदाई का सहा जाता नहीं मुझसे !


कभी महसूस होता है, खुशी के दिन भी आएँगे,

हवेली जगमगाएगी मेरे दिलबर के आने से !

               


No comments:

Post a Comment